Monday, January 4, 2010

Badra

Barson se tarse hai badra
Aaj baras jaa, mauka hai
Ekmatr bas katputli tu
aur rang munch sajeela hai

Kis soch mein vichlit mann
Pal pal fisalta ujiyaara hai.
Dhoop chaav mein pista har kan
Uspe wehem ka dera hai

Kaun dor judi hai ab tak
Jo kheeche paseeje vo dil tera hai
Kahin vaade jivan bharke
kahin kal aakhri savera hai

Barson se tarse hai badra
Aaj baras jaa, mauka hai
Ekmatr bas katputli tu
aur rang munch sajeela hai

No comments:

Post a Comment