Monday, January 4, 2010

bhanwar

Bhanwar padaa tha, shanka hui
maathe pe tumhaare kuch bal bhi pade
kuch sawaal mann mein ubhre
par jawaab sunne tum na aaye!

Ek silvat jo chod aaye the tum
usne hamein kuch aise kureda
mal mal ke bhi aankhon se
vo kadvi suchhai hum nikaal na paaye!

ek shuruwaat woh bhi thi
jissey shehnaai ne aawaaz na di
jab tak jeene ki chah panapti
tum aakhri panne ko bhi palat aaye!

2 comments: